Jafar Abbas

abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par

Jafar Abbas

abhī to mahv-e-tajallī haiñ sab dukānoñ par
palaT ke dekhiye aate haiñ kab makānoñ par
ḳhayāl-e-ḳhām meñ guzrī hai zindagī saarī
haqīqatoñ kā gumāñ hai abhī fasānoñ par
qadam qadam pe tazādoñ se sābiqa hai jahāñ
yaqīn kaise kare koī in gumānoñ par
vo jis kī chaah meñ mar mar ke jī rahe haiñ yahāñ
na jaane kaun sī bastī hai āsmānoñ par
jahāñ bhī tiir lagā bas vahī hadaf Thahrā
hai phir bhī zo.am bahut un ko in kamānoñ par
maiñ un kī baat ko kis taur mo'atabar jānūñ
madār-e-zīst hī jin kā hai kuchh bahānoñ par
kaḌī hai dhuup jhulastī haiñ ab dalīleñ sabhī
yaqīñ hai phir bhī unheñ kitnā sā.ebānoñ par
nazar meñ zehn meñ dil meñ kushādgī laao
havā ke ruḳh kā taqāzā hai bādbānoñ par
na jaane kitnī hī sadiyāñ lageñgī aur abhī
diloñ kī baat jab aa pā.egī zabānoñ par
ajiib un ko salīqa hai khul ke jiine kā
na.ī hai kaun sī tohmat ye ham divānoñ par
hamārī zaat se ābād kuchh ḳharābe haiñ
hai apne dam se ujālā ka.ī maqāmoñ par
ḳhirad-navāz junūñ aur junūñ-navāz ḳhirad
haiñ ab bhī nuur tarīqe ye kuchh Thikānoñ par
use jagāo Dase tum ko maar Daale tumheñ
tumhārī zaat meñ baiThā hai jo ḳhazānoñ par
Top Urdushayar.com