Jafar Abbas

ab firaq-o-visal bar hue

Jafar Abbas

ab firāq-o-visāl baar hue
umr guzrī hai be-qarār hue
is kī be-e'tibāriyoñ ke tufail
kitne hī gul yahāñ pe ḳhaar hue
ḳhvāb do ek hī bache zinda
qatl baaqī to be-shumār hue
kyuuñ rahā ġhairiyat kā sā ehsās
jab bhī ham us se kam kanār hue
mere us ke muāmle ab to
saare aalam pe āshkār hue
kuchh na.ī ye malāmateñ to nahīñ
aise ta.ane to baar baar hue
jurm kyā hai pata nahīñ ab tak
haañ magar roz sañgsār hue
kitne hī trahdār ham jaise
is ḳharābe meñ ḳhāksār hue
kis qadar mubtalā the ham ḳhud meñ
ḳhud se nikle to be-kanār hue
'mīr'-o-'ġhālib' kī ḳhāk-e-pā ke tufail
ham bhī kis darja āb-dār hue
Top Urdushayar.com