ham  ne  to  sochā  bhī  nahīñ  thā  aisā  din  bhī  aa.egā
apnoñ  kā  yuuñ  ruḳh  badlegā  sab  se  jī  bhar  jā.egā
dil  meñ  jo  hai  sab  kah  Daalo  vaqt  bahut  kam  baaqī  hai
kaun  yahāñ  hai  dost  tumhārā  jo  dushman  ho  jā.egā
kaise  kaise  pyāre  sāthī  kaisī  kaisī  bāteñ  thiiñ
kis  ko  kyā  ma.alūm  thā  yaaro  kaun  kahāñ  chhuT  jā.egā
pyaar  ke  badle  nafrat  paa.ī  nafrat  bhī  itnī  gahrī
aisā  kyuuñ  hai  kyuuñ  hai  aisā  koī  samajh  na  pā.egā
mat  pūchho  ham  ko  apnoñ  ne  kaise  kaise  zaḳhm  diye
gar  ye  qissa  chheḌ  diyā  to  sab  kā  jī  bhar  aa.egā
āñkhoñ  meñ  ab  ashk  nahīñ  haiñ  siine  meñ  ab  aah  nahīñ
us  kī  baat  karo  mat  mujh  se  dard  bahut  baḌh  jā.egā
apnā  bhī  ik  yaar  thā  aisā  jis  se  kuchh  kah  lete  the
ab  jo  dil  kā  bojh  baḌhegā  kis  ke  dar  par  jā.egā
pyaar  mohabbat  laag  lagāo  ke  baare  meñ  mat  socho
rahā-sahā  jo  bharam  bachā  hai  yuuñ  vo  bhī  uTh  jā.egā
ghar  se  be-ghar  ho  kar  ham  to  maare  maare  phirte  haiñ
ye  banjārā  dil  dekho  ab  ham  ko  kidhar  le  jā.egā
ham  ne  to  apnī  kah  Daalī  tum  bhī  to  kuchh  apnī  kaho
dil  kī  baat  karo  kuchh  yaaro  dil  halkā  ho  jā.egā