Yasmeen Hameed

humne kisi ko ahd-e-wafa se riha kiya

Yasmeen Hameed

1951
ham ne kisī ko ahd-e-vafā se rihā kiyā
apnī ragoñ se jaise lahū ko judā kiyā
us ke shikasta vaar kā bhī rakh liyā bharam
ye qarz ham ne zaḳhm kī sūrat adā kiyā
is meñ hamārī apnī ḳhudī kā savāl thā
ehsāñ nahīñ kiyā hai jo vaada vafā kiyā
jis samt kī havā hai usī samt chal paḌeñ
jab kuchh na ho sakā to yahī faisla kiyā
ahd-e-musāfarat se vo mansūḳh ho chukī
jis rahguzar se tum ne mujhe āshnā kiyā
apnī shikastagī pe vo nādim nahīñ huā
merī barahna-pā.ī kā jis ne gila kiyā
Top Urdushayar.com