na.e  jazīroñ  kī  ham  ko  bhī  chāhateñ  thiiñ  bahut
hamārī  raah  meñ  lekin  rivāyateñ  thiiñ  bahut
kahīñ  bhī  aag  lage  us  kā  naam  aatā  hai
use  charāġh  jalāne  kī  ādateñ  thiiñ  bahut
kisī  kā  lahja  yaqīnan  fareb  lagtā  thā
magar  fareb  ke  pīchhe  sadāqateñ  thiiñ  bahut
añdhere  zaḳhm  masā.il  dhuāñ  lahū  aañsū
gañvāte  ham  bhī  kahāñ  tak  virāsateñ  thiiñ  bahut
vo  jis  kī  guftugū  phūloñ  kā  isti.āra  thī
ḳhamoshiyoñ  meñ  bhī  us  kī  fasāhateñ  thiiñ  bahut
utārā  jaatā  thā  sadqa  hamārī  jaan  kā  bhī
hamāre  dam  se  bhī  mansūb  chāhateñ  thiiñ  bahut
bahut  samajhte  haiñ  thoḌe  likhe  ko  ham  'shādāb'
hamāre  vāste  ik  do  shikāyateñ  thiiñ  bahut