jab  bhī  koī  kitāb  likkhūñgā
tere  naam  intisāb  likkhūñgā
dil  to  kahtā  nahīñ  magar  us  ko
maslahat  se  janāb  likkhūñgā
haath  to  chhoḌ  gardish-e-daurāñ
us  ke  ḳhat  kā  javāb  likkhūñgā
aa.ine  par  to  merā  zor  nahīñ
maiñ  tujhe  lā-javāb  likkhūñgā
terā  haq  hai  tū  jo  kahe  mujh  ko
maiñ  to  tujh  ko  gulāb  likkhūñgā
aa.egī  jab  basant-pūrnimā
maiñ  kisī  kā  'shabāb'  likkhūñgā