be-mausam  hī  āñkhoñ  meñ  bhar  jaate  haiñ
aañsū  bhī  to  chālākī  kar  jaate  haiñ
dil  kā  saudā  un  ke  bas  kī  baat  nahīñ
aune-paune  daam  lagā  kar  jaate  haiñ
har  din  zinda  rahne  meñ  hai  ḳharch  bahut
aao  chalo  ik  do  din  ko  mar  jaate  haiñ
qatl  ujāle  bhī  kar  dete  haiñ  lekin
sab  ilzām  añdheroñ  ke  sar  jaate  haiñ
kaise  jī  lete  haiñ  log  añdheroñ  meñ
ham  to  sirf  tasavvur  se  Dar  jaate  haiñ
reza  reza  honā  un  kī  qismat  hai
sū-e-falak  jo  be-bāl-o-par  jaate  haiñ