us  ko  hamārī  zaat  se  inkār  bhī  nahīñ
lekin  vo  e'tirāf  ko  tayyār  bhī  nahīñ
roġhan  charāġh-e-chashm  meñ  jitnā  thā  jal  chukā
aur  shahr-e-jāñ  meñ  sub.h  ke  āsār  bhī  nahīñ
be-kār  DhūñDhte  ho  samā.at  meñ  ḳhāmiyāñ
pahlī  sī  ghuñgrūoñ  meñ  vo  jhankār  bhī  nahīñ
do-chār  pal  qayām  kā  kuchh  to  javāz  ho
kūche  meñ  us  ke  sāya-e-dīvār  bhī  nahīñ
tujh  ko  suḳhan-shanās  ba-har-hāl  chāhiye
'shādāb'  terā  koī  taraf-dār  bhī  nahīñ