kis  ehtiyāt  se  sapne  sajāne  paḌte  haiñ
ye  sañg-reze  palak  se  uThāne  paḌte  haiñ
bahut  se  dard  to  ham  baañT  bhī  nahīñ  sakte
bahut  se  bojh  akele  uThāne  paḌte  haiñ
ye  baat  us  se  patā  kar  jo  ishq  jāntā  ho
paloñ  kī  raah  meñ  kitne  zamāne  paḌte  haiñ
har  ek  peḌ  kā  saayā  nahīñ  milā  kartā
bilā  ġharaz  bhī  to  paude  lagāne  paḌte  haiñ
kisī  ko  dil  se  bhulāne  meñ  der  lagtī  hai
ye  kapḌe  kamre  ke  andar  sukhāne  paḌte  haiñ
kahāñ  se  lāoge  tum  is  qadar  jabīn-e-niyāz
qadam  qadam  pe  yahāñ  āstāne  paḌte  haiñ