use  mohabbat  hai  ham  se  lekin  kabhī  zabāñ  se  kahā  nahīñ  hai
nigāh  paḌhne  meñ  ham  haiñ  māhir  use  ye  shāyad  patā  nahīñ  hai
qadam  tale  hai  zamīn  ġhā.eb  kahīñ  pe  chhat  kā  patā  nahīñ  hai
ye  bhed  kyuuñ  hai  samajh  sake  jo  abhī  talak  to  milā  nahīñ  hai
guzar  rahī  zindagī  ye  kaisī  jo  pūchhte  ho  to  kyā  batā.ūñ
ḳhudā  se  mujh  ko  gila  nahīñ  hai  magar  jo  chāhā  milā  nahīñ  hai
vo  kah  rahā  hai  ki  jaan  apnī  hamārī  ḳhātir  luTā  sakegā
hai  kaun  jis  ne  vafā  meñ  ye  sab  kahā  nahīñ  yā  sunā  nahīñ  hai
na  zindagī  se  mujhe  gila  hai  na  zindagī  se  tujhe  gila  hai
magar  alag  is  tarah  se  jiinā  tumhīñ  kaho  kyā  sazā  nahīñ  hai
kisī  ko  māñge  binā  mile  sab  kisī  kī  jholī  rahe  hai  ḳhālī
ki  is  ke  pīchhe  ḳhudā  kī  manshā  hai  kyā  kisī  ko  patā  nahīñ  hai
ki  mushkiloñ  se  Daro  nahīñ  aur  kaam  himmat  se  lo  hamesha
tabhī  saphaltā  milegī  ik  din  ye  sach  kisī  se  chhupā  nahīñ  hai