zindagī  meñ  aisā  kitnī  baar  hotā  hai  yahāñ
manziloñ  kā  rāsta  dushvār  hotā  hai  yahāñ
jo  safar  ke  lutf  kā  andāza  kar  saktā  nahīñ
ḳhush  safar  meñ  rahne  se  lāchār  hotā  hai  yahāñ
āñdhiyāñ  pur-ḳhār  raste  sañg  rokeñ  kis  tarah
jin  ko  gulshan  kī  kalī  se  pyaar  hotā  hai  yahāñ
apnī  qismat  se  huā  shah  maat  kā  har  faisla
Dūbtā  beḌā  kabhī  to  paar  hotā  hai  yahāñ
ḳhvāb  chaknā-chūr  hote  haiñ  bulandī  par  kabhī
aur  jo  dekhā  nahīñ  sākār  hotā  hai  yahāñ
dushmanoñ  ke  vaar  se  bhī  jān-levā  hai  kabhī
apnoñ  kā  begāna-pan  bhī  dhaar  hotā  hai  yahāñ