kabhī  sab  chhīn  letā  huuñ  kabhī  ne.amat  luTātā  huuñ
mujhe  sab  vaqt  kahte  haiñ  maiñ  uñglī  par  nachātā  huuñ
na  maiñ  ka.abe  meñ  rahtā  huuñ  na  maiñ  kāshī  meñ  rahtā  huuñ
garebāñ  jhāñk  kar  dekho  maiñ  tere  dil  meñ  basta  huuñ
akelā  chhoḌ  kar  mujh  ko  yakāyak  chal  diye  saare
sahārā  jab  ḳhudā  kā  hai  kahegā  kaun  tanhā  huuñ
garajtī  hai  ghaTā  to  kyā  hai  tūfānī  havā  to  kyā
jigar  meñ  hai  bahut  himmat  kisī  se  maiñ  na  Dartā  huuñ
bichhaḌ  jā.ūñ  agar  tum  se  añdherā  chhā  hī  jā.egā
ki  jis  meñ  nuur  hai  pinhā  maiñ  aisā  ik  nagīna  huuñ
qasam  khā  kar  mukar  jaanā  tirī  aadat  purānī  hai
qasam  se  jab  qasam  khā.ūñ  maiñ  shiddat  se  nibhātā  huuñ
ye  sūraj  chāñd  kī  yaarī  baḌī  adbhut  pahelī  hai
kaheñ  donoñ  hī  aapas  meñ  ki  tum  aao  maiñ  jaatā  huuñ