kyuuñ  tīrgī  sī  chhā.ī  charāġhoñ  ke  darmiyāñ
kyā  husn  chhup  gayā  hai  naqāboñ  ke  darmiyāñ
nāsūr  ban  gayā  ka.ī  sāloñ  ke  darmiyāñ
ik  zaḳhm  jaane  kaisā  hai  chhāloñ  ke  darmiyāñ
vo  niiñd  meñ  bhī  aañkh  se  ojhal  na  ho  janāb
us  ko  basā  liyā  hai  nigāhoñ  ke  darmiyāñ
shiddat  hai  pyaas  meñ  to  sarovar  ke  jā  qarīb
kab  tishnagī  miTī  hai  sarāboñ  ke  darmiyāñ
aulād  pe  agar  jo  musībat  na  hotī  aaj
kyuuñ  maañ  kā  haath  ruktā  nivāloñ  ke  darmiyāñ
yuuñ  hī  janāb  ham  ko  ye  ohda  nahīñ  nasīb
sāloñ  hai  sar  khapāyā  kitāboñ  ke  darmiyāñ
jo  ġhaur  se  paḌhoge  savāloñ  ko  baar  baar
mil  jā.egā  javāb  savāloñ  ke  darmiyāñ
sāhil  ko  toḌne  kī  himāqat  kiye  baġhair
lahreñ  uchhal  rahī  haiñ  kināroñ  ke  darmiyāñ
miltā  nahīñ  hai  kuchh  bhī  taraddud  kiye  baġhair
kāñTe  bhare  paḌe  haiñ  gulāboñ  ke  darmiyāñ
shāyad  mire  sanam  ne  kiyā  yaad  mujh  ko  aaj
hichkī  tabhī  hai  aa.ī  nivāloñ  ke  darmiyāñ