Sanjay Mishra Shauq

barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain

Sanjay Mishra Shauq

1967

bārish-e-sañg se gul chaak huā chāhte haiñ

sab usī ḳhaak poshāk huā chāhte haiñ

yuuñ tire shahr meñ badlī hai havā-e-ḳhush-rañg

jitne ma.asūm haiñ chālāk huā chāhte haiñ

fikr āb-e-ravāñ ab nahīñ rukne vaalā

ham usī bahr ke pairāk huā chāhte haiñ

sab ko rahtī hai yahāñ shahr-e-amāñ ḳhvāhish

itne hālāt ḳhatarnāk huā chāhte haiñ

raushnī bechne vaale ye ujāloñ ke safīr

bastiyāñ phūñk ke ġhamnāk huā chāhte haiñ

merī sohbat natīja hai ki saare mazlūm

ek vaqt meñ bebāk huā chāhte haiñ

Top Urdushayar.com