Shahab Safdar

jab bhi kashti ke muqabil bhanwar aata hai koi

Shahab Safdar

jab bhī kashtī ke muqābil bhañvar aatā hai koī
jagmagātā sar-e-sāhil nazar aatā hai koī
be-ruḳhī us kī dilātī hai jahāñ kā ehsās
liye duniyā kī ḳhabar be-ḳhabar aatā hai koī
shiddat-e-yās meñ chupke se ujāloñ kī tarah
mere tārīk ḳhayāloñ meñ dar aatā hai koī
tan-e-tanhā to safar dil pe girāñ guzregā
muntazir huuñ ki mire saath agar aatā hai koī
Duub jaatā hai judā.ī kī shafaq meñ din ko
ufuq-e-ḳhvāb se shab ko ubhar aatā hai koī
ashk piitā huuñ maiñ tiryāq samajh kar jis vaqt
zahr ban kar rag-e-jāñ meñ utar aatā hai koī
hijr sāmāñ hai ravāñ sū-e-shab-e-vasl 'shahāb'
dhuup oḌhe hue zer-e-shajar aatā hai koī
Top Urdushayar.com