na  jaane  kaun  sā  rishta  hai  mujh  se  naatā  hai
mirī  ġhazal  ko  vo  tanhā.iyoñ  meñ  gaatā  hai
darīche  maiñ  ne  muqaffal  to  kar  liye  lekin
vo  ḳhushbuoñ  kī  tarah  ghar  meñ  aatā  jaatā  hai
maiñ  us  ke  vāste  mushkil  sā  ik  sabaq  Thahrā
vo  mujh  ko  yaad  to  kartā  hai  bhuul  jaatā  hai
vo  ek  lams  ki  ab  tak  na  bhuul  paayā  maiñ
na  jaane  kaise  kisī  ko  koī  bhulātā  hai
'nasīm'  jis  se  ta.alluq  thā  chand  lamhoñ  kā
vo  ban  ke  yād-e-guzishta  mujhe  satātā  hai