karb  āñkhoñ  se  ayaañ  dil  meñ  kasak  baaqī  hai
tere  jaane  kī  ḳhalish  aaj  talak  baaqī  hai
us  kī  ḳhvāhish  kā  shajar  ḳhushk  nahīñ  ho  saktā
jis  kī  har  shāḳh-e-tamannā  meñ  lachak  baaqī  hai
phir  kisī  shaam  ke  ruḳhsār  pe  rakh  degā  vo
din  ke  chehre  pe  jo  thoḌā  sā  namak  baaqī  hai
saiñkaḌoñ  baar  'nasīm'  us  ko  to  dekhā  hai  magar
phir  bhī  lagtā  hai  abhī  ek  jhalak  baaqī  hai