sabab  to  kuchh  bhī  nahīñ  aur  udaas  rahtā  hai
ye  kaisā  dard  hai  jo  dil  ke  paas  rahtā  hai
mujhe  patā  nahīñ  us  kā  magar  ye  suntā  huuñ
vo  in  dinoñ  mire  ghar  ke  hī  paas  rahtā  hai
mirī  kitāb  ke  aurāq  sab  tumhāre  haiñ
jahāñ  se  dekho  tirā  iqtibās  rahtā  hai
maiñ  kāTtā  huuñ  har  ek  lamha  karbalā  kī  tarah
laboñ  pe  pyaas  to  dil  meñ  hirās  rahtā  hai
maiñ  kal  talak  jise  ik  aañkh  bhī  ye  bhātā  thā
usī  ke  dil  meñ  mirā  ab  nivās  rahtā  hai
'nasīm'  naam  ke  us  aadmī  se  milnā  tum
na  jaane  har  ghaḌī  kyuuñ  bad-havās  rahtā  hai