bas  tere  liye  udaas  āñkheñ
uf  maslahat  nā-shanās  āñkheñ
be-nūr  huī  haiñ  dhīre  dhīre
aa.iiñ  nahīñ  mujh  ko  raas  āñkheñ
āḳhir  ko  gayā  vo  kaash  ruktā
kartī  rahīñ  iltimās  āñkheñ
ḳhvābīda  haqīqatoñ  kī  maarī
pāmāl  aur  bad-havās  āñkheñ
darpesh  junūñ  kā  marhala  aur
faaqa  hai  badan  to  pyaas  āñkheñ