husn  ke  zer-e-bār  ho  ki  na  ho
ab  ye  dil  be-qarār  ho  ki  na  ho
marg-e-amboh  dekh  aate  haiñ
aañkh  phir  ashk-bār  ho  ki  na  ho
karb-e-paiham  se  ho  gayā  patthar
ab  ye  siina  figār  ho  ki  na  ho
phir  yahī  rut  ho  ain  mumkin  hai
par  tirā  intizār  ho  ki  na  ho
shāḳh-e-zaitūn  ke  amiiñ  haiñ  ham
shahr  meñ  intishār  ho  ki  na  ho
sher  mere  sambhāl  kar  rakhnā
ab  ġhazal  mushk-bār  ho  ki  na  ho