huā  karegā  har  ik  lafz  mushk-bār  apnā
abhī  sukūñ  se  kiye  jaao  intizār  apnā
uThā  liyā  hai  halaf  garche  jāñ-nisārī  kā
mujhe  sambhāl  ki  hotā  huuñ  baar  baar  apnā
udaas  aañkh  ko  hai  intizār  fasl-e-murād
kabhī  to  mausam-e-jāñ  hogā  sāzgār  apnā
tumhāre  dar  se  uThā.e  ga.e  malāl  nahīñ
vahāñ  to  chhoḌ  ke  aa.e  haiñ  ham  ġhubār  apnā
bahut  buland  huī  jaatī  hai  anā  kī  fasīl
so  ham  bhī  tañg  kiye  jaate  haiñ  hisār  apnā
har  ik  charāġh  ko  hai  dushmanī  havā  ke  saath
bechārī  le  ke  kahāñ  jaa.e  intishār  apnā