jabīn-e-shauq  pe  gard-e-malāl  chāhtī  hai
mirī  hayāt  safar  kā  ma.aal  chāhtī  hai
maiñ  vus.atoñ  kā  talabgār  apne  ishq  meñ  huuñ
vo  merī  zaat  meñ  ik  yarġhamāl  chāhtī  hai
hameñ  ḳhabar  hai  ki  us  mehrbāñ  kī  chāragarī
hamāre  zaḳhmoñ  kā  kab  indimāl  chāhtī  hai
tumhāre  baad  mirī  aañkh  zid  pe  aa  ga.ī  hai
vahī  jamāl  vahī  ḳhadd-o-ḳhāl  chāhtī  hai
ham  us  ke  jabr  kā  qissa  tamām  chāhte  haiñ
aur  us  kī  teġh  hamārā  zavāl  chāhtī  hai
harī  rutoñ  ko  idhar  kā  pata  nahīñ  mālūm
barhana  shāḳh  abas  dekh-bhāl  chāhtī  hai