Meer Mehdi Majrooh

ye jo chupke se aae baiThe hain

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903

ye jo chupke se aa.e baiThe haiñ

laakh fitne uThā.e baiThe haiñ

vo nahīñ haiñ to dard ko un ke

siine se ham lagā.e baiThe haiñ

ye bhī kuchh meñ aa ga.ī hogī

kyā vo mere biThā.e baiThe haiñ

tazkira vasl nahīñ ḳhālī

vo bhī kuchh lutf paa.e baiThe haiñ

mujh ko maarā hai par ḳhajālat se

vo bhī gardan jhukā.e baiThe haiñ

rañg jamtā hai yaañ na aane

ya.anī mehñdī lagā.e baiThe haiñ

mujh ko mahfil meñ dekh kar bole

aap yaañ kyuuñ ki aa.e baiThe haiñ

ḳhair ho haiñ bigāḌ ke āsār

kuchh vo muñh ko banā.e baiThe haiñ

ġham hameñ khā rahā hai to kyā ġham

ham bhī to ġham ko khaa.e baiThe haiñ

zad meñ gar hai adū to ho vo to

ghaat mujh par lagā.e baiThe haiñ

kho.e jaane apne dhyān nahīñ

kuchh to aisā paa.e baiThe haiñ

sharm se haiñ vo laakh parde meñ

go mire paas aa.e baiThe haiñ

sham.a saañ go ghule jaate haiñ

us se par lau lagā.e baiThe haiñ

us galī meñ basān-e-naqsh-e-qadam

ham bhī paañv jamā.e baiThe haiñ

ho na ai sham.a husn par nāzāñ

vo bhī mahfil meñ aa.e baiThe haiñ

shoḳhiyāñ ḳhud haiñ parda-dar un

kyuuñ vo muñh ko chhupā.e baiThe haiñ

fard-e-bātil samajh ke duniyā ko

naqsh-e-hastī miTā.e baiThe haiñ

kyā hai us ḳhush-ḳhirām aamad

fitne jo jaa.e jaa.e baiThe haiñ

tuur jis aag ne jalāyā thā

ham vo dil meñ chhupā.e baiThe haiñ

chashmakeñ ġhair se dikhā deñge

ham bhī āñkheñ laḌā.e baiThe haiñ

kal taqaddus-ma.āb masjid the

aaj rindoñ meñ aa.e baiThe haiñ

lā-ubālī ḳhirām hai 'majrūh'

vaz.a kaisī banā.e baiThe haiñ

Top Urdushayar.com