har  ghaḌī  barse  hai  bādal  mujh  meñ
kaun  hai  pyaas  se  pāgal  mujh  meñ
tum  ne  ro-dho  ke  tasallī  kar  lī
phailtā  hai  abhī  kājal  mujh  meñ
maiñ  adhūrā  sā  huuñ  us  ke  andar
aur  vo  shaḳhs  mukammal  mujh  meñ
chup  kī  dīvāroñ  se  sar  phoḌe  hai
jo  ik  āvāz  hai  pāgal  mujh  meñ
maiñ  tujhe  sahal  bahut  lagtā  huuñ
tū  kabhī  chaar  qadam  chal  mujh  meñ
muzhda  āñkhoñ  ko  ki  phir  se  phūTī
ik  na.e  ḳhvāb  kī  koñpal  mujh  meñ
kāTne  haiñ  ka.ī  ban-bās  yahīñ
ug  rahā  hai  jo  ye  jañgal  mujh  meñ
aag  meñ  jaltā  huuñ  jab  jab  'at.har'
aur  aa  jaatā  hai  kuchh  bal  mujh  meñ