DhūñDhtā  hai  koī  rastā  mire  ā.īne  meñ
qaid  jo  shaḳhs  hai  mujh  sā  mire  ā.īne  meñ
khīñch  le  tujh  ko  na  ā.īne  ke  andar  kā  tilism
ġhaur  se  dekh  na  itnā  mire  ā.īne  meñ
us  ke  jaisā  huuñ  maiñ  ā.īne  ke  bāhar  koī
rah  rahā  hai  vo  jo  mujh  sā  mire  ā.īne  meñ
maiñ  hī  ā.īna-e-duniyā  meñ  chalā  aayā  huuñ
yā  chalī  aa.ī  hai  duniyā  mire  ā.īne  meñ
aks  kuchh  aur  nazar  aatā  hai  merā  sab  ko
kis  ne  ab  tak  mujhe  dekhā  mire  ā.īne  meñ
rū-ba-rū  hotā  hai  ik  shaḳhs  bhī  mujh  sā  'at.har'
maiñ  akelā  nahīñ  hotā  mire  ā.īne  meñ