rok  rakkhā  thā  jo  in  āñkhoñ  meñ  khārā  paanī
merī  dīvāroñ  meñ  dar  aayā  vo  saarā  paanī
ek  dariyā  ko  dikhā.ī  thī  kabhī  pyaas  apnī
phir  nahīñ  māñgā  kabhī  maiñ  ne  dobārā  paanī
apnī  āñkhoñ  se  nichoḌūñgā  kisī  roz  use
kartā  rahtā  hai  bahut  mujh  se  kinārā  paanī
ab  ke  bārish  pe  koī  haq  nahīñ  insānoñ  kā
ab  ke  chiḌiyoñ  ke  liye  rab  ne  utārā  paanī
maiñ  samundar  se  lagī  shor-zamīñ  jaisā  huuñ
mārtā  rahtā  hai  mujh  ko  mirā  khārā  paanī
maiñ  ne  in  āñkhoñ  se  kuchh  motī  chune  the  'at.har'
mere  hoñToñ  meñ  abhī  jazb  hai  khārā  paanī