kyā  ḳhabar  jo  nazar  aatā  hai  vo  manzar  hī  na  ho
ye  samundar  kahīñ  sach-much  meñ  samundar  hī  na  ho
jis  kī  ummīd  pe  sar  phoḌ  rahī  hai  duniyā
kahīñ  is  āhanī  dīvār  meñ  vo  dar  hī  na  ho
jaan  kar  phuul  jise  dil  se  lagā.e  hue  haiñ
ġhaur  se  dekh  leñ  chhū  kar  use  patthar  hī  na  ho
dar-o-dīvār  se  ye  kaise  nazar  aate  haiñ
jis  ko  vīrāna  samajh  baiThe  haiñ  vo  ghar  hī  na  ho
is  qadar  ham  ko  Darānā  nahīñ  achchhā  'at.har'
kyā  pata  ham  ko  kisī  chiiz  kā  phir  Dar  hī  na  ho