koī  bagūla  raqsāñ  mere  andar  hai
dil-sahrā  meñ  jashn  ke  jaisā  manzar  hai
maiñ  ne  kaise  kaise  motī  DhūñDe  haiñ
lekin  tere  aage  sab  kuchh  patthar  hai
balcony  par  aao  merī  palkoñ  kī
dekho  kitnā  gahrā  niilā  samundar  hai
ḳhāmoshī  se  maar  na  de  ik  din  mujh  ko
shor  sā  ik  jo  merī  zaat  ke  andar  hai
chāhe  jo  bhī  khiḌkī  meñ  kholūñ  'at.har'
sab  ke  bāhar  ek  hī  jaisā  manzar  hai