Jameel Mazhari

thi abhi subh abhi sham hui jati hai

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
thī abhī sub.h abhī shaam huī jaatī hai
zindagī gardish-e-ayyām huī jaatī hai
zindagī mohlat-e-taufīq-e-ḳhum-āshāmī thī
zindagī fursat-e-yak-jām huī jaatī hai
zindagī tā.ir-e-sahrā thī ba-shauq-e-parvāz
zindagī said-e-tah-e-dām huī jaatī hai
zindagī Daal rahī thī jo sitāroñ pe kamand
ab tamāshā-e-lab-e-bām huī jaatī hai
zindagī ye hai ki bā-īñ-hama-saudā-e-safar
zindagī hasrat-e-yak-gām huī jaatī hai
zindagī ye hai ki jis ret pe jalte the qadam
ab vahī bistar-e-ārām huī jaatī hai
zindagī ye hai ki soyā thā musāfir thak kar
so ke uTThā hai to ab shaam huī jaatī hai
'maz.harī' fan kā taqāzā hai ki likhiye kuchh aur
ye ġhazal koshish-e-nākām huī jaatī hai
Top Urdushayar.com