Jameel Mazhari

kaun kahta hai baDha shauq idhar se pahle

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
kaun kahtā hai baḌhā shauq idhar se pahle
kis ne dekhā thā kise tirchhī nazar se pahle
mutma.in ho le zarā ahl-e-nazar se pahle
parde āñkhoñ ke uThā parda-e-dar se pahle
abhī tālīm-e-vafā yaanī jafā kā nahīñ vaqt
tarbiyat shauq kī ho lutf-e-nazar se pahle
haañ mohabbat meñ maza hai mujhe inkār nahīñ
magar ai zauq-e-ḳhalish dard-e-jigar se pahle
sālik-e-rāh-e-vafā hai dil-e-āshufta-mizāj
muzhda-e-gumrahi-e-shauq-e-safar se pahle
jur.at-e-arz-e-tamannā pe ḳhafā ho lenā
muskurāo to zarā nīchī nazar se pahle
mausam-e-kaif meñ be-kaifi-e-jazbāt na pūchh
dil-e-bulbul hai fasurda gul-e-tar se pahle
jumbish-e-muztarib-e-parda-e-ismat kī qasam
jalve betāb hue zauq-e-nazar se pahle
jin se badnām hue ishq ke jazbāt-e-latīf
vo ishāre the idhar se ki udhar se pahle
do irādoñ meñ jo haa.il the hayā ke parde
kis ne sarkā.e ishārāt-e-nazar se pahle
kyuuñ koī pahlu-e-jānāñ meñ jagah paa.e 'jamīl'
aaj ham bazm meñ pahuñcheñge qamar se pahle
Top Urdushayar.com