Jameel Mazhari

meri bandagi tujhe de sakegi bajae maani o lafz kya

Jameel Mazhari

Motihari, Bihar, India

1904-1979
mirī bandagī tujhe de sakegī bajā.e ma.ānī o lafz kyā
hai mire shu.ūr kī jholiyoñ meñ sivā.e ma.ānī-o-lafz kyā
jo nazar kā bojh na sah sakīñ vo zabāñ kā bojh saheñgī kyā
subuk-o-latīf ishāratoñ pe jafā-e-ma.ānī-o-lafz kyā
mujhe Dar hai ai suḳhan-āfrīñ ye libās un par girāñ na ho
jo haqīqateñ na pahan sakīñ vo qabā-e-ma.ānī-o-lafz kyā
na vo shams meñ na qamar meñ hai vo hijāb-e-fikr-o-nazar meñ hai
jo hijāb-e-fikr-o-nazar uThā to ġhizā-e-ma.ānī-o-lafz kyā
mirī ruuh agarche hai gurisna mirā shauq agarche hai jāñ-ba-lab
magar ai 'jamīl'-e-ġhazal-sarā ye ridā-e-ma.ānī-o-lafz kyā
Top Urdushayar.com