Meer Mehdi Majrooh

na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
na vo nāloñ kī shorish hai na ġhul hai āh-o-zārī kā
vo ab pahlā sā hañgāma nahīñ hai be-qarārī kā
talab kaisī bulānā kyā vahāñ ḳhud jā pahuñchte haiñ
agar aalam yahī chande rahā be-aḳhtyārī kā
vahāñ vo nāz-o-ishve se qadam gin gin ke rakhte haiñ
yahāñ is muntazir kā vaqt pahuñchā dam-shumārī kā
kabhī chashm-e-ḳhumār-ālūd kī mastī nahīñ dekhī
bajā hai hazrat-e-nāseh ko da.avā hoshiyārī kā
bhalā kyā aisī rotī shakl paas aa kar koī baiThe
uThe āḳhir vo jhuñjhlā kar burā ho ashk-bārī kā
ajab kyā hai ki qāsid bhuul jaa.e us kā le jaanā
likhūñ jis naame meñ shikva tirī ġhaflat-shi.ārī kā
misāl-e-naḳhl dekhā hai usī ko phūlte-phalte
kiyā jis shaḳhs ne hāsil tarīqa ḳhāksārī kā
har ik shai kā hai andāza magar pāyāñ nahīñ hargiz
tirī ġhaflat-shi.ārī kā mirī ummīd-vārī kā
zi-bas āñkhoñ meñ rañgat chhā rahī hai lāla-o-gul kī
ḳhizāñ meñ lutf aatā hai hameñ fasl-e-bahārī kā
kabhī sar paañv par rakhnā kabhī qurbān kah uThnā
hameñ thoḌā sā Dhab aatā to hai matlab-barārī kā
chhupā kal gosha-e-mai-ḳhāna meñ 'majrūh' ne dekhā
yūñhī shohra sunā thā shaiḳh kī parhez-gārī kā
Top Urdushayar.com