tanhā.iyoñ  ke  dasht  meñ  akasr  milā  mujhe
vo  shaḳhs  jis  ne  kar  diyā  mujh  se  judā  mujhe
vāraftagī  mirī  hai  ki  hai  intihā-e-shauq
us  kī  galī  ko  le  gayā  har  rāsta  mujhe
jaise  ho  koī  chehra  nayā  us  ke  rū-ba-rū
yuuñ  dekhtā  rahā  mirā  har  āshnā  mujhe
harf-e-ġhalat  samajh  ke  jo  mujh  ko  miTā  gayā
us  jaisā  us  ke  ba.ad  na  koī  lagā  mujhe
pahle  hī  mujh  pe  kam  nahīñ  terī  ināyateñ
dam  lene  de  ai  gardish-e-daurāñ  zarā  mujhe
mushkil  mujhe  Dūbnā  kināre  pe  bhī  na  thā
nāhaq  bhañvar  meñ  laayā  mirā  nāḳhudā  mujhe
ye  zindagī  ki  maut  bhī  hai  jis  pe  nauha-ḳhvāñ
kis  jurm  kī  na  jaane  milī  hai  sazā  mujhe