din  ko  rahte  jhiil  par  dariyā  kināre  raat  ko
yaad  rakhnā  chāñd  taaro  is  hamārī  baat  ko
ab  kahāñ  vo  mahfileñ  haiñ  ab  kahāñ  vo  ham-nashīñ
ab  kahāñ  se  laa.eñ  un  guzre  hue  lamhāt  ko
paḌ  chukī  haiñ  utnī  girheñ  kuchh  samajh  aatā  nahīñ
kaise  suljhā.eñ  bhalā  uljhe  hue  hālāt  ko
kitnī  tūfānī  thiiñ  rāteñ  jin  meñ  do  dīvāne  dil
thapkiyāñ  dete  rahe  bhaḌke  hue  jazbāt  ko
dard  meñ  Duubī  huī  lai  ban  ga.ī  hai  zindagī
bhuul  jaate  kaash  ham  ulfat-bhare  naġhmāt  ko
vo  ki  apne  pyaar  kī  thī  bhīgī  bhīgī  ibtidā
yaad  kar  ke  ro  diyā  dil  aaj  us  barsāt  ko