harf  tum  apnī  nazākat  pe  na  laanā  hargiz
haath  bedād-o-sitam  se  na  uThānā  hargiz
tum  bhī  chorī  ko  yaqīñ  hai  na  kahoge  achchhā
ab  hameñ  dekh  ke  āñkheñ  na  churānā  hargiz
ishq  hai  ek  magar  āfat-e-nau  hai  har-dam
ye  vo  mazmūñ  hai  ki  hogā  na  purānā  hargiz
yahī  andāz  to  haiñ  dil  ke  uḌā  lene  ke
un  kī  tum  nīchī  nigāhoñ  pe  na  jaanā  hargiz
sabab-e-qatl-e-mohabbat  hai  agar  ai  zālim
to  mirā  jurm  kisī  ko  na  batānā  hargiz
dil-e-ḳhūñ-gashta  kā  ho  raaz  na  ifshā  ai  chashm
ashk-e-gul-rañg  kā  Tapkā  na  lagānā  hargiz
huuñ  tunak-zarf  na  jhelūñgā  sharāb-e-pur-zor
parda  yakbār  na  chehre  se  uThānā  hargiz
ham  se  bīmār  bhī  jāñ-bar  kahīñ  hote  haiñ  masīh
tum  yahāñ  aa  ke  na  taklīf  uThānā  hargiz
jins-e-nāyāb  ke  hote  haiñ  hazāroñ  gāhak
tum  patā  apnā  kisī  ko  na  batānā  hargiz
maiñ  to  kyā  us  se  to  muusā  bhī  na  sar-bar  aa.e
imtihānan  hameñ  jalva  na  dikhānā  hargiz
jo  chalā  tīr-e-sitam  dil  se  vo  guzrā  ai  charḳh
terā  ḳhālī  na  gayā  koī  nishānā  hargiz
zikr  barbādī-e-dehlī  kā  sunā  kar  hamdam
neshtar  zaḳhm-e-kuhan  par  na  lagānā  hargiz
āb-e-rafta  nahīñ  phir  bahr  meñ  phir  kar  aatā
dehlī  ābād  ho  ye  dhyān  na  laanā  hargiz
vo  to  baaqī  hī  nahīñ  jin  se  ki  dehlī  thī  murād
dhokā  ab  naam  pe  dehlī  ke  na  khānā  hargiz
getī-afroz  agar  hazrat-e-nayyar  rahte
itnā  tārīk  to  hotā  na  zamānā  hargiz
ab  to  ye  shahr  hai  ik  qālib-e-be-jāñ  hamdam
kuchh  yahāñ  rahne  kī  ḳhushiyāñ  na  manānā  hargiz
dar-e-mai-ḳhāna  huā  band  sadā  ye  hai  buland
yaañ  harīfān-e-qadah-ḳhvār  na  aanā  hargiz
allāh  allāh  vo  navvāb-e-ulā.ī  ke  kalām
jin  se  rañgīñ  nahīñ  bulbul  kā  tarānā  hargiz
tū  to  hai  'anvar'-o-'maikash'  kī  judā.ī  kā  nishāñ
dil-e-pur-dard  se  ai  daaġh  na  jaanā  hargiz
saut-e-bulbul  taraf-añgez  sahī  par  hamdam
dard  farsūda  diloñ  ko  na  sunānā  hargiz
maiñ  huuñ  ik  majma-e-ahbāb  kā  bichhḌā  gulchīñ
mujh  ko  gul-dasta-e-rañgīñ  na  dikhānā  hargiz
jam.a  hai  majma-e-ahbāb  fazā  meñ  terī
ai  tasavvur  ye  muraqqa.a  na  miTānā  hargiz
dil  meñ  haiñ  hasrat-o-andoh  ke  ambār  lage
itnā  yakjā  na  kahīñ  hogā  ḳhazānā  hargiz
sāqī-e-bazm  tirī  tarz-e-taġhāful  ke  nisār
durd-e-mai  kā  bhī  idhar  jaam  na  laanā  hargiz
qahr  lā.eñge  ye  tāle.a  jo  zarā  bhī  chete
ai  falak  ḳhvāb  se  un  ko  na  jagānā  hargiz
mahfil-e-aish  se  gar  haz  ho  uThānā  ai  dost
ham  se  āzurda-diloñ  ko  na  bulānā  hargiz
dār-e-fānī  meñ  na  kar  fikr-e-qayām  ai  nādāñ
guzar-e-sail  hai  yaañ  ghar  na  banānā  hargiz
jin  ke  aivān  the  ham-palla-e-qasr-e-qaisar
un  kī  miltā  nahīñ  qabroñ  kā  Thikānā  hargiz
vo  ga.e  din  jo  chaman-zār  meñ  dil  lagtā  thā
sach  hai  yaksāñ  nahīñ  rahtā  hai  zamānā  hargiz
ham-safīrān-e-chaman  sab  hue  garm-e-parvāz
ab  ḳhush  aatā  nahīñ  gulzār  meñ  jaanā  hargiz
zaġhan-o-zāġh  kī  gulshan  meñ  sadā  hai  har  sū
murġh-e-ḳhush-naġhma  na  āvāz  sunānā  hargiz
qasr-e-hālī  ke  havālī  meñ  zarā  tum  'majrūh'
apnī  DeḌh  iiñT  kī  masjid  na  banānā  hargiz