Meer Mehdi Majrooh

is ke jo jo ki fawaed hain KHud dekhte jao

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903

is ke jo jo ki favā.ed haiñ ḳhud dekhte jaao

sach kahā hai ye kisī ne ki piyo aur pilāo

zabt sarkār meñ hone ke liye chhoḌ na jaao

ḳhuub khaao zar-o-māl ko aur ḳhuub uḌaao

tum meñ aur ġhair meñ jo shab ko huī hai sohbat

ḳhud kahe detā hai vo aap āñkhoñ jhukāo

baiThne ke nahīñ qābil ye sarā-e-vīrāñ

yaañ se toshe ke uThāne ke evaz naav uThāo

maiñ huuñ maḳhmūr mujhe taab kahāñ haañ saaqī

saaf ho durd ho jaldī se jo mil jaa.e to laao

nahīñ bīmār ko taklīf zyāda dete

apnī āñkhoñ ko mire sāmne itnā na jhukāo

dil meñ aa baiThiye aur sair-e-do-ālam kiije

hai bahut duur us manzil-e-vīrāñ se dikhāo

muñh se gar baat nikal jaa.e to aafat aa jaa.e

jo kahīñ chupke sune jaao zabāñ ko na hilāo

maiñ kahāñ aur kahāñ raat aanā par haañ

tere ghar se to bahut ġhair ke ghar hai lagāo

ukhḌe jaate haiñ qadam dekh vahāñ rañgat

apnā is dar pe huā hai na kabhī hogā jamāv

dil ābādī ab fikr hai bilkul nāhaq

ab to yaañ roz hotā hai sipah-e-ġham paḌāv

ba.ad ik umr ke gar arz-e-tamannā kiije

vo bigaḌ kar yahī kahte haiñ ki bāteñ na banāo

garche ye jhuuT fasānā hai vale hai dilchasp

kahte haiñ apnī kahānī mujhe tum roz sunāo

huuñ agar us ke evaz nīm-nigah ḳhvāhāñ

hañs ke kahte haiñ ki kuchh qīmat-e-dil aur ghatāo

avval-e-ishq hai dil kab hai samajhne vaalā

abhī zoroñ pe hai is bahr par aafat chaḌhāo

haal bhī kahte agar hosh Thikāne hote

yaañ to hairat hai ki tum aur mujhe pūchhne aao

dam nikalne alam kis se sahā jaatā hai

harf tum jaane ai jaan zabāñ pe na laao

un ko to pās-e-mohabbat nahīñ aslan lekin

nibh sake tum se agar hazrat-e-dil aur nibhāo

zaḳhm-e-hijrāñ nahīñ aur to duniyā meñ davā

mundamil vasl ke marham se to hotā hai ye ghaav

kab use dīda-e-tar dāva-e-ham-chashmī hai

aaTh aaTh aañsū na tum abr-e-bahārī ko rulāo

un ke aane ke tasavvur meñ yahī kahtā huuñ

ai shab-e-va.ada na ho sub.h vo karte haiñ banāv

vaañ khapat nahīñ kyā jins-e-vafā le jaa.eñ

un sarkār meñ ik jaur-o-sitam hai banāv

ab ho 'majrūh' mohabbat se bahut ghabrāte

ham to pahle ye kahte the ki dil ko na lagāo

Top Urdushayar.com