ga.e  haiñ  des  ko  ham  apne  chhoḌ  kar  bhī  nahīñ
muhājrat  ke  liye  shart  ab  safar  bhī  nahīñ
isī  jahān  meñ  rahte  haiñ  ḳhūb-rū  aise
yaqīn  mujh  ko  huā  us  ko  dekh  kar  bhī  nahīñ
mire  vajūd  meñ  ghul-mil  ke  kar  gayā  tanhā
vo  ek  shaḳhs  jo  aayā  kabhī  nazar  bhī  nahīñ
vo  ik  kitāb  ga.ī  thī  diloñ  se  tāqoñ  par
ab  aisī  duur  huī  hai  ki  taaq  par  bhī  nahīñ
ġham  aur  ḳhushī  nahīñ  mauqūf  rone  hañsne  par
aur  in  havāloñ  se  iz.hār  mo'tabar  bhī  nahīñ