subuk  mujh  ko  mohabbat  meñ  ye  kaj-uftād  kartā  hai
jo  maiñ  hargiz  na  kartā  vo  mirā  ham-zād  kartā  hai
bikhar  kar  bhī  usī  ko  DhūñDhtī  haiñ  har  taraf  āñkheñ
jo  mujh  ko  ik  nigah  meñ  ik  se  lā-ta.adād  kartā  hai
huī  haiñ  shor-e-dil  meñ  ġharq  ta.abīreñ  sadāoñ  kī
magar  itnī  ḳhabar  hai  koī  kuchh  irshād  kartā  hai
qayāmat  hai  jo  ab  ye  ḳhuftagān-e-ḳhāk-e-dil  jāgeñ
koī  is  kohna  vīrāne  ko  phir  ābād  kartā  hai
kahā  ho  kuchh  kabhī  mujh  se  to  ai  chāragaro  jānūñ
maiñ  kyā  kah  duuñ  dil-e-bīmār  kis  ko  yaad  kartā  hai
sarāmad  ishq  hai  paatā  hai  koī  dil  nasīboñ  se
phir  apne  vāste  ma.ashūq  ḳhud  ījād  kartā  hai
burā  kahnā  mujhe  us  kā  vazīfa  hai  to  hone  do
vo  ḳhud  ko  yuuñ  mire  aaseb  se  āzād  kartā  hai