dekhā  ki  chale  jaate  the  sab  shauq  ke  maare
ma.ashūq  ke  pahlū  meñ  shab-e-hijr  guzāre
ham  haiñ  ki  hue  halqa-e-zanjīr-e-mohabbat
baaqī  to  ga.e  chhūT  giraftār  tumhāre
ham  chāhne  vāloñ  kā  nahīñ  koī  Thikānā
haiñ  aaj  sar-e-najd  to  kal  taḳht  hazāre
aa  pahuñche  kahāñ  justujū-e-yār  meñ  is  baar
mil  jaa.e  to  chal  bhī  na  sake  saath  hamāre
sākin  ho  yahāñ  koī  to  us  se  koī  pūchhe
maiñ  ghuum  rahā  huuñ  ki  haiñ  gardish  meñ  sitāre
bas  dekh  chuke  ḳhuub  vo  pastī  ye  bulandī
is  charḳh  se  ab  jald  hameñ  koī  utāre