Mohammad Aazam

giran tha matn mushkil aur bhi tabir paDh lena

Mohammad Aazam

Rudauli, Uttar pradesh, India

1941
girāñ thā matn mushkil aur bhī ta.abīr paḌh lenā
to āsāñ kar liyā dil-ḳhvāh ik tafsīr paḌh lenā
guzishta shab ishāroñ se likhā kuchh chāñd par maiñ ne
tumheñ ma.alūm hogā phir bhī vo tahrīr paḌh lenā
mahārat ho ga.ī chehroñ ko paḌh paḌh kar hameñ itnī
ki ab āsāñ hai chehre kī jagah tasvīr paḌh lenā
mulā.em uñgliyoñ kī har ibārat yaad hai mujh ko
har ik añgushtarī ko halqa-e-zanjīr paḌh lenā
milī thī ik yahī shorish-zada dil kī amal-dārī
so likh dī hai tumhāre naam ye jāgīr paḌh lenā
agar tārīḳh kuchh alfāz likkhe aglī sadiyoñ meñ
to kyā kyā log ab haiñ qābil-e-tahrīr paḌh lenā
mohabbat ḳhuun ban kar jism meñ dauḌe to kyā kahnā
bas itnā kah diyā baaqī kalām-e-'mīr' paḌh lenā
Top Urdushayar.com