Meer Mehdi Majrooh

sar ko tan se mere juda kije

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
sar ko tan se mire judā kiije
ye bhī jhagḌā hai faisla kiije
mujh pe tohmat sanam-parastī kī
shaiḳh sāhab ḳhudā ḳhudā kiije
laal ko us ke lab se kyā nisbat
ye bhī ik baat hai sunā kiije
lo vo aate haiñ jald hazrat-e-dil
fikr-e-sabr-e-gurez-pā kiije
ham ġhanīmat usī ko samjheñge
lo vafā vāda-e-jafā kiije
apnā kiina banūñ ki yād-e-raqīb
kis tarah us ke dil meñ jā kiije
yaañ to matlab hī kuchh nahīñ rakhte
jo kisī se kaheñ ravā kiije
mudda.ī ghaat hī meñ rahte haiñ
kyuuñ ki vaañ arz-e-mudda.ā kiije
dukh jo 'majrūh' ne sahe ġham se
us kā kyā sharh-e-mājrā kiije
mar gayā vo pa yaad aatā hai
us kā kahnā ki aah kyā kiije
saḳht mushkil hai yaar kā khulnā
ye girah kis tarah se vā kiije
sabr ke fā.ede bahut haiñ vale
dil hī bas meñ na ho to kyā kiije
ġhair kī pāsbāñ kī darbāñ kī
kis kī jā jā ke iltijā kiije
us kī vo aañkh ab nahīñ 'majrūh'
jald kuchh apnā sūjhtā kiije
Top Urdushayar.com