sar  ko  tan  se  mire  judā  kiije
ye  bhī  jhagḌā  hai  faisla  kiije
mujh  pe  tohmat  sanam-parastī  kī
shaiḳh  sāhab  ḳhudā  ḳhudā  kiije
laal  ko  us  ke  lab  se  kyā  nisbat
ye  bhī  ik  baat  hai  sunā  kiije
lo  vo  aate  haiñ  jald  hazrat-e-dil
fikr-e-sabr-e-gurez-pā  kiije
ham  ġhanīmat  usī  ko  samjheñge
lo  vafā  vāda-e-jafā  kiije
apnā  kiina  banūñ  ki  yād-e-raqīb
kis  tarah  us  ke  dil  meñ  jā  kiije
yaañ  to  matlab  hī  kuchh  nahīñ  rakhte
jo  kisī  se  kaheñ  ravā  kiije
mudda.ī  ghaat  hī  meñ  rahte  haiñ
kyuuñ  ki  vaañ  arz-e-mudda.ā  kiije
dukh  jo  'majrūh'  ne  sahe  ġham  se
us  kā  kyā  sharh-e-mājrā  kiije
mar  gayā  vo  pa  yaad  aatā  hai
us  kā  kahnā  ki  aah  kyā  kiije
saḳht  mushkil  hai  yaar  kā  khulnā
ye  girah  kis  tarah  se  vā  kiije
sabr  ke  fā.ede  bahut  haiñ  vale
dil  hī  bas  meñ  na  ho  to  kyā  kiije
ġhair  kī  pāsbāñ  kī  darbāñ  kī
kis  kī  jā  jā  ke  iltijā  kiije
us  kī  vo  aañkh  ab  nahīñ  'majrūh'
jald  kuchh  apnā  sūjhtā  kiije