habs  ta.alluqāt  meñ  duur  na  jā  idhar  udhar
ġhair  havā  nahīñ  ki  bas  chuum  liyā  idhar  udhar
dekh  rahī  hai  kisht-e-dil  ashkoñ  kī  bevafā.iyāñ
ab  ke  baras  baras  ga.ī  saarī  ghaTā  idhar  udhar
jaan  mirī  shikast  se  shor  tirā  hai  har  taraf
saath  mire  bikhar  ga.ī  merī  navā  idhar  udhar
dil  ko  mire  tirā  ye  shauq  tujh  se  bhī  thā  azīz-tar
terī  galī  ke  ās-pās  maiñ  jo  rahā  idhar  udhar
dekhiye  kab  kahāñ  koī  kaise  ise  uchhāl  de
sikka-e-vaqt  par  haiñ  naqsh  shāh-o-gadā  idhar  udhar
raah  meñ  ruk  ke  kis  liye  pūchheñ  kisī  se  rāsta
ḳhvāb  kā  ye  safar  hai  aur  ḳhvāb  meñ  kiyā  idhar  udhar
hosh  jo  thā  so  ek  umr  mujh  ko  kahīñ  na  le  gayā
kam  to  nahīñ  ki  le  gayā  us  kā  nasha  idhar  udhar