Meer Mehdi Majrooh

kal nashshe mein tha wo but masjid mein gar aa jata

Meer Mehdi Majrooh

1833-1903
kal nashshe meñ thā vo but masjid meñ gar aa jaatā
īmāñ se kaho yaaro phir kis se rahā jaatā
murde ko jilā lete girte ko uThā lete
ik dam ko jo yaañ aate to aap kā kyā jaatā
ye kahiye ki dhyān us ko aatā hī nahīñ varna
mahshar se to sau fitne vo dam meñ uThā jaatā
mahfil meñ mujhe dekhā to hañs ke lage kahne
aane se har ik ke hai sohbat kā mazā jaatā
ī.zā.en ye paa.ī haiñ maqdūr agar hotā
maiñ rasm-e-ta.ashshuq ko duniyā se uThā jaatā
kyuuñ paas mire aa kar yuuñ baiThe ho muñh phere
kyā lab tire misrī haiñ maiñ jin ko chabā jaatā
kyā jalva-numā vo mah koThe pe huā aa kar
kuchh aaj savere se sūraj hai chhupā jaatā
ye kāhisheñ kyuuñ hotīñ ghabrā ke agar ye dil
pahlū se nikal jaatā ārām sā aa jaatā
achchhā huā mahfil meñ 'majrūh' na kuchh bolā
vo haal agar kahtā to kis se sunā jaatā
Top Urdushayar.com