kal  nashshe  meñ  thā  vo  but  masjid  meñ  gar  aa  jaatā
īmāñ  se  kaho  yaaro  phir  kis  se  rahā  jaatā
murde  ko  jilā  lete  girte  ko  uThā  lete
ik  dam  ko  jo  yaañ  aate  to  aap  kā  kyā  jaatā
ye  kahiye  ki  dhyān  us  ko  aatā  hī  nahīñ  varna
mahshar  se  to  sau  fitne  vo  dam  meñ  uThā  jaatā
mahfil  meñ  mujhe  dekhā  to  hañs  ke  lage  kahne
aane  se  har  ik  ke  hai  sohbat  kā  mazā  jaatā
ī.zā.en  ye  paa.ī  haiñ  maqdūr  agar  hotā
maiñ  rasm-e-ta.ashshuq  ko  duniyā  se  uThā  jaatā
kyuuñ  paas  mire  aa  kar  yuuñ  baiThe  ho  muñh  phere
kyā  lab  tire  misrī  haiñ  maiñ  jin  ko  chabā  jaatā
kyā  jalva-numā  vo  mah  koThe  pe  huā  aa  kar
kuchh  aaj  savere  se  sūraj  hai  chhupā  jaatā
ye  kāhisheñ  kyuuñ  hotīñ  ghabrā  ke  agar  ye  dil
pahlū  se  nikal  jaatā  ārām  sā  aa  jaatā
achchhā  huā  mahfil  meñ  'majrūh'  na  kuchh  bolā
vo  haal  agar  kahtā  to  kis  se  sunā  jaatā