maiñ  to  lamhāt  kī  sāzish  kā  nishāna  Thahrā
tū  jo  Thahrā  to  tire  saath  zamāna  Thahrā
aane  vaale  kisī  mausam  se  hameñ  kyā  lenā
dil  hī  jab  dard  kī  ḳhushbū  kā  ḳhazāna  Thahrā
yaad  hai  rākh-tale  ek  sharāre  kī  tarah
ye  jo  bujh  jaa.e  havāoñ  kā  bahāna  Thahrā
jhuuT  sach  meñ  koī  pahchān  kare  bhī  kaise
jo  haqīqat  kā  hī  meyār  fasāna  Thahrā
aks  bikhre  hue  chehroñ  ke  haiñ  har  samt  'shamīm'
dil  hamārā  bhī  koī  ā.ina-ḳhāna  Thahrā