Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi

dil se har-dam hamein aawaz-e-buka aati hai

Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1811-1845
dil se har-dam hameñ āvāz-e-bukā aatī hai
band kānoñ ko bhī girya kī sadā aatī hai
dil se hai aañkh tak aa.ī asar-e-garmī-e-shauq
ashk hasrat se nigah ābla-pā aatī hai
gul huā koī charāġh-e-saharī o bulbul
haath maltī huī pattoñ se sadā aatī hai
ā.īna saaf sikandar ko dikhāyā tū ne
ḳhuub ai ḳhizr tujhe raah batā aatī hai
chhū liyā dhoke se dāmān-e-sabā tū ne to kiyā
ġhuncha-e-gul kahīñ muTThī meñ havā aatī hai
jis qadar vasl-e-butāñ kā tumheñ rahtā hai firāq
ai 'nasīm' utnī kabhī yād-e-ḳhudā aatī hai
Top Urdushayar.com