dil-ba-dil  ā.īna  hai  dair  o  haram
haq  jo  pūchho  ek  dar  hai  do  taraf
ḳhvāh  ka.aba  ḳhvāh  but-ḳhāna  ko  jā
dasht-e-dil  kā  rahguzar  hai  do  taraf
kufr  o  īmāñ  donoñ  jānib  kī  sune
is  liye  gosh-e-bashar  hai  do  taraf
raḳhna-andāzoñ  kī  kab  chhuptī  hai  aañkh
chashm-e-rauzan  kī  nazar  hai  do  taraf
baaġh  ho  yā  dasht  ho  qismat  'nasīm'
coach  kī  apne  ḳhabar  hai  do  taraf