mausam  aane  pe  shajar  baur  se  bhar  jaatā  hai
jaane  kis  or  magar  saarā  samar  jaatā  hai
aa  ke  baiThe  ho  tum  aur  vaqt-e-sahar  aa  pahuñchā
kis  qadar  jald  bhalā  vaqt  guzar  jaatā  hai
jab  bhī  beTī  kī  judā.ī  kā  samāñ  sochtā  huuñ
ek  ḳhanjar  mire  siine  meñ  utar  jaatā  hai
tū  ne  dekhā  hī  nahīñ  muḌ  ke  zarā  ai  ḳhūbāñ
koī  kūche  se  tire  ḳhāk-ba-sar  jaatā  hai
ġham  na  kar  tū  jo  taḌaptā  huuñ  maiñ  gaahe  gaahe
jaate  jaate  hī  mohabbat  kā  asar  jaatā  hai
kaisī  tāsīr  hai  is  husn-e-fusūñ-sāz  kī  bhī
koī  jiitā  hai  koī  dekh  ke  mar  jaatā  hai
ik  zarūrat  ne  jhukāyā  mujhe  kis  kis  dar  par
mire  andar  ye  koī  soch  ke  mar  jaatā  hai
kaisī  mushkil  meñ  mujhe  Daal  diyā  ai  daurāñ
maiñ  ki  dastār  bachātā  huuñ  to  sar  jaatā  hai