dil-o-nazar  pe  koī  iḳhtiyār  bhī  to  nahīñ
ye  shutar  aise  magar  be-mahār  bhī  to  nahīñ
manā  hī  lete  use  ham  kaḌī  riyāzat  se
vo  zūd-ranj  ki  parvardigār  bhī  to  nahīñ
na  jaane  kyoñ  hameñ  sharmindagī  hai  maazī  par
agarche  aisā  koī  dāġhdār  bhī  to  nahīñ
ye  kaifiyat  ki  koī  sarḳhushī  nahīñ  lekin
tirī  judā.ī  tabī.at  pe  baar  bhī  to  nahīñ
hisāb-e-sūd-o-ziyāñ  kis  tarah  se  mumkin  ho
huzūr  ishq  koī  kārobār  bhī  to  nahīñ
ta.alluqāt  meñ  kaise  koī  tanāsub  ho
koī  halīm  koī  burdbār  bhī  to  nahīñ
kahāñ  paḌāv  kareñ  kis  ke  āsare  pe  kareñ
ki  duur  tak  shajar  sāya-dār  bhī  to  nahīñ
maqām-e-faiz  milā  aur  na  ham  hue  mansūr
hamārī  manzil-e-maqsūd  daar  bhī  to  nahīñ
gunah  savāb  shahīd-o-yazīd  che  ma.anī
ye  qatl-gāh  koī  kār-zār  bhī  to  nahīñ